Ruk ja tham ja thehar ja
Ae waqt
Thodi guftagu kar lene de
Wakif ho jane de apne ehsaas se
Kaha chala tu itni raftar se

Ruk ja tham ja thehar ja
Kuchh gile shikve toh hai nahi
Apni ahmiyat ka hi ehsaas dilvata chala
Thoda bhi nahi ruka
Itr bhar bhi nahi jhuka
Bass yohi chalta chala

Kabhi thoda dheeme, toh kabhi ekdam raftaar se
Bin bataye unn lamho ko bhi leta chala gaya
Kitne the gile aur kitne hi gham the
Beshak tune ikraar na kiya na hi intezaar
Bass yohi chalta gaya

Bifkr raftaar se
Apni hi dhun me, lipta hua
Jazbaato se, kuchh mulakaton se
Kuchh ehsaas mein

Haan kabhi toh jee liye maine laakho lamhe kuchh hi pal mein
Aur kabhi toh teri raftar se hi wakif ho na saka

Aaaya tu haroz
Kabhi lekar aaya naya sawera
Toh kabhi din dhala aur raat ka pata hi nahi chala….